SAATH SHAYARI
Technology Opinions, News, and Resources
The Top 10 Saath Shayari of October Month
Na Mile Kisi Ka Saath To Hamen Yaad Karna.
Tanhayi Ho Tou Mehsus Hamen Karna.
Khushiyan Baatne Ko Aap Hajar Dost Rakhna.
Par Gam Vaatne Ko Hamen Yaad Rakhna.
Kyun Mushkilon Mein Saath Dete Hain Dost,
Kyun Saare Gamon Ko Baant Lete Hain Dost,
Na Rishta Khun Ka Na Rivaaj Se Bandha Hai,
Phir Bhi Zindagee Bhar Saath Dete Hain Dost.
Pyaar Kehte Hain,Muhabbat Kehte Hain
Kuchh Log Use Bandagi Kehte Hain
Magar Jinke Saath Hum Dosti Karte Hain
Hum Unhen Apni Zindagi Kehte Hain.
Meri Chaahaten Tumse Alag Kab Hain ,
Dil Ki Baaten Tumse Chhupi Kab Hain..
Tum Saath Raho Dil Mein Dhadkan Ki Jagah ,
Phir Zindagi Ko Saanson Ki Zaroorat Kab Hai
Tere Saath Guzra Lamha Jab Bhi Yaad Ayega,
Is Janam Ke Baad Bhi Tera Khayal Layega,
Agar Bakshi Bar Bar Zindagi Uparwale Ne Mujhe,
Tujse Dosti Karne Ko Hardum Ji Chahega..
Roshni Ho To Diya Jalta Hai,
Shama Ho To Parwana Jalta Hai,
Rishte Na Ho To Dil Jalta Hai,
Aap Jaise Saathi Ho To Zamana Jalta Hai.
Aapke Deedar Ko Nikal Aaye Hai,
Taare Aapki Khushboo Se Chha Gayi Hai,
Bahare Aapke Saath Dikhte Hai,
Kuch Aise Nazare Ki Chhup Chhup Ke,
Chand Bhi Bas Aap Hi Ko Nihare.
Gud Night.
Jab Dosti Ki Dastaan Waqt Sunayega;
Hum Ko Bhi Koi Shaks Yaad Ayega;
Tab Bhool Jayenge Zindagi Ke Ghamon Ko;
Jab Aap Ke Saath Guzra Waqt Yaad Aayega!
Na Main Tumhe Khona Chahti Hu,
Na Tumhari Yaad Me Rona Chahti Hu,
Jab Tak Zindagi Hai Main Humesha
Tumhare Saath Rehna Chahti Hu,
Bas Yahi Baat Tumse Kehna Chahti Hu.
© 2017